Hum hain khyal e yar hai hum ko jahan se kia
Ye raaz e ishQ hai ise kehiye zubaan se kia
Pucha hai mujh se aap ne haal e junu mra
WaQif nahi hain aap mri daastaan se kia
Bin maange hi Qubool jis dil ki hr dua
Maange wo khush naseeb tere aastaan se kia
Guzre hain raah e ishQ se dewana waar hum
Ab us muQaam pe hain louten wahan se kia
Pakeezgi jamaal ki kese karen bayaan hum
Nisbat hai husn e yaar ko husn e bayaan se kia...